Bura Hoon Main Bohot Lyrics – Nazz 

Spread the love

Bura hoon main bohot Lyrics The Latest MTV Hustle 2.0 song sung by Nazz, and has music by Nazz while Nazz has written the Bura hoon main bohot Lyrics..

Bura Hoon Main Bohot Lyrics – Nazz Lyrics

Singer Nazz
Tv Show MTV Hustle 2.O
Music Nazz
Song Writer Nazz




Kuch baatein rehti jo zuban pe nahi aati
Unhi ansuni baton ko aaj main suna doon
Main baadshahon ki tarah har baat rakhta chala
Par kuch ankahi batein hain jinka
Aaj main gulaam hoon

Bohot kuch hain kehne ko
Joh kehne ko main darta tha
Sochta tha rehene do woh
Zehen mein jo bhadka tha

Ladta tha ye ladka phir bhi
Ladkhada ke chalta tha
Saans lete rehta phir bhi
Tadfadake marta thha

Dardnaak bukhaar ko main
Sar chadha ke baitha tha
Main zalzala toofan mein hi
Ghar banaake rehta tha

Main mukh se khush hoon,
Mujhse door hoon, dukh main choor hoon
Main khud ka guru khud ko ghoorun khud pe guroor

Aisa nahi ke maine aajtak paap kuch na kiya ho
Paas doodh tha par kabhi saanp khush na kiya ho
Har chunauti ka saamna karne ki mujh mein himmat
Bhale bachpan mein theek se
Maine maa ka doodh na piya ho

Maa se badhke chachi ne sambhala
Bithaya mujhe sar pe
Tadap-tadap ke baap mara
Mere aankhon ke samne ghar pe

Phir baap se badhkar chacha mera
Guzra aankhein bharke
Kyunki woh milna chahta thha mujhko
Apne aakhri waqt pe

Aur main ehsaan faramosh tha
Sota raha main ghar pe thakk ke
Khud pe mujh ko shaq hain
Mujhe jeene ka na koi haq hain

Woh mare apne naseeb se par
Mujhe kusoor hain apne aap pe
Meri nazar se dekho toh unka khoon dikhe mere hath pe

Bura hoon main bohot bura hoon main bohot
Kehti mujhe duniya ke bura hoon main bohot
Dhoonda hoon main bohot dhoonda hoon main bohot
Jeene ki wajah meri dhoonda hoon main bohot

Bura hoon main bohot bura hoon main bohot
Kehti mujhe duniya ke bura hoon main bohot
Dhoonda hoon main bohot dhunda hoon main bohot
Jeene ki wajah meri dhoonda hoon main bohot

Sahi galat dikhaane koi nai,
Mera dil aur dimag sadd chuka tha
Khud ke ghar ke cheezon ko main
Chori karna chalu kar chuka thha

Mujhpe sar pe gharki zimmedari
Thhi aur main sar jhukata
Pata nahi kaise main atthanni jaise
Tha rupaiyye ke saamne gadd chuka thha

Pani deta raha main sirf gunahon ke paudhon ko
Kandhon pe bojh gym ki zaroorat nahi hum laundon ko
Mann ko maara maine apne har waqt
Jaise kuch pati daru peeke marte hai apni aurton ko

Jeet ki bhookh badi baar-baar haar paake
Patthar dil bachpan se baar-baar maar kha ke
Khel main kheloon bhale jeetu na sahi
Kyunki hum dil jeetne wale aksar khel haar jaate

Khaane mein dhoke hi parose gaye plate mein
Hate jhelna shuru ki jabse tha maa ke pet mein
Koi poochega toh iss pate pe usko bhejde
Anxiety mera desh main rehta depressed state mein

Bura hoon main bohot bura hoon main bohot
Kehti mujhe duniya ke bura hoon main bohot
Dhoonda hoon main bohot dhoonda hoon main bohot
Jeene ki wajah meri dhoonda hoon main bohot

Bura hoon main bohot bura hoon main bohot
Kehti mujhe duniya ke bura hoon main bohot
Dhoonda hoon main bohot dhoonda hoon main bohot
Jeene ki wajah meri dhoonda hoon main bohot






How useful was this post?

Click on a star to rate it!


Spread the love