Bachpan Lyrics The Latest MTV Hustle song song is sung by Srushti Tawde, and has music by Srushti Tawade while Srushti Tawade has written the Bachpan Lyrics
Bachpan Lyrics – Srushti Tawde Lyrics
Singer | Srushti Tawde |
Tv Show | MTV Hustle 2.O |
Music | Srushti Tawde |
Song Writer | Srushti Tawde |
Parivaar mein the hum chaar
Main, aai, baba, kaamwali didi
Mujhe didi ke paas rakha gaya tabhi se
When aai and baba thought I’ll be safe
And didi ke hisse ka she’ll be paid
Badle mein mujhko sambhalegi everyday
Anyway, it was sadder than jail,
Any day funny, eh? Don’t even smile
Yeh mere bachpan ki story hai
Not such a fairytale
Jab office jaate aai-baba,
Toh ghar pe ek mehmaan chhupke se aata
Woh mujhko toh bahar, but didi
Ko andar ke kamre mein jaake sulaata
Bhole the aai-baba, na shaq kiya
Bole why bother? Aur main bas chaar ki thi
Yeh cheezein mere palle paar ki thi
Hamare hi ghar mein hamare hi
Bistar pe didi ke mister ki yaadein
Woh mere aai baba jaise
Saath saath honge richer, yeh vaade
Unn dono ke raaste mein main
Hi thi jab-jab woh paas mein the
Woh bola shut her mouth up
Shout louder, hit her, dikha de
Phir mujhko daraane poori afternoon
Maara mujhe, sar phoda, rangey khoon se haath
Aur aankhon se boli bas ek hee baat
Mummy ko bataana nahi
Aye, mera bachpan kahan gaya?
Abhi toh yahin tha, bachpan kahan gaya?
Aye, mera bachpan kahan gaya?
Abhi toh yahin tha, koi kha gaya
Aye, mera bachpan kahan gaya?
Abhi toh yahin tha, bachpan kahan gaya?
Aye, mera bachpan kahan gaya?
Abhi toh yahin tha, koi khaa gaya
Ab didi ko tension thi,
Mera sar phoota, aai-baba will question me
Woh kal phir se maaregi joh maine sach bola
She started to threaten me
Zindagi ye vis-a-vis baaki
Bachcho ki zindagi, I needed therapy
I was losing my sanity,
Cause she affected me heavily, ghar mein hi enemy
Sar pe jaise bojh tha bhaari
Aai-baba ko nazar hee nahi aa rahi
Sacchai aur main haadse se ubhar hi nahi paa rahi
Jhooth bola, seedhi se giri
Aur phir maar khaane ki baari aa jaati
Tab main jaisi zindagi jee rahi thi
Uss se toh achha miscarry ho jaati
Ek, do, teen saal beete
Tabhi bhi main uss se maar hee khaa rahi thi
Depression mein, anxiety mein,
Jagah-jagah jaane kitni raatein guzaari
Yeh hona zaroori tha kya?
Rulaake bhigona zaroori tha kya?
Yun mujhko iss duniya ka andhera
Kona dikhana zaroori tha kya?
Kabhi lagta hain ki aye kaash apna sach mein apna ho
Haqeeqat mein joh guzri mujhpe thi woh jhoothi ghatna ho
Meri neendein udi, par jab bhi aayi, bas yahi dekha
Main sapne mein bhi chaahun ke yeh sab bas ek sapna ho
Mera bachpan kahan gaya?
Abhi toh yahin tha, bachpan kahan gaya?
Aye, mera bachpan kahan gaya?
Abhi toh yahin tha, koi khaa gaya
Aye, mera bachpan kahan gaya?
Abhi toh yahin tha, bachpan kahan gaya?
Aye, mera bachpan kahan gaya?
Abhi toh yahin tha, koi khaa gaya