Bas Ke Bahar Lyrics The song sung by Badshah, and has music by Hiten while Badshah has written the Bas Ke Bahar Lyrics. 3:00 AM Sessions. This is badshah’s most personal work; stories, experiences, and confessions.
Bas Ke Bahar Lyrics – Badshah Lyrics
Singer | Badshah |
Music | Hiten |
Song Writer | Badshah |
Main flight mein hun main soya nahi
Wo chood gayi main roya nahi
Parso raat jiske saath tha
Main gaal uska chooma
Kehti gaal ab tak dhoya nahi
Lo fir ek baar pesh-e-khidmat
Hai meri zindagi lo maze
Wo bacchon ko school bhejhkar
Karti hai call mujhko subah 9 baje
Main daastan apni likhne bethunga,
To kaiyo ka naam aayega
Kisi ki ban jaaye zindagi shayad
To kisi ke gale se niche na jaam jaayega
Record tode dil kayi tod kar
Sabse upar kyunki pichhe saare chhut gaye
Gair ban bethe family jo bachpan se apne the
Wo saare rooth gaye
Ab phone bhi aane band ho gaye hai
Kehte tujhko tang karna nahi chahte
Teri zindagi rangeen hai badi
Usme apne feeke se rang bharna nahi chahte
Jo tu karta hai wo karna nahi chahte
Tujhse pyaar karte hai tujhse darna nahi chahte
Tu har baat pe hi ladne ko taiyar betha hai
Hum ladna nahi chahte
Jo sapne dekhe the wo kabke poore kar liye
Business, gaadiya, kapde joote, ghar liye
Wo mujhse puchhti hai kitna pyaar karta hai
Maine bola jispe marna tha mar liye
Wo mujhse puchhti, tu raaton ko kyun jaagta hai
Is gali se us gali mein kyun tu bhagta hai
Raat mere ghar pe subah kisi aur ke
Ye bata tu guzar raha kis daur se
Tu kya kha raha hai or tujhe kya kha ra hai
Lamborghini sahi hai, par ye rasta kahan ja raha hai
24 ghante saath kabhi gaayab tu maheeno bhar
Kitna udega reh le zameeno par
Competition khatm reham kha ab kameeno par
Kitne dil hai tere aayenge kitni haseeno par
Ungliyon mein ye jo pehne hai tune
Kya sach mein tujhe yakeen hai un nageeno par
Tere astrologer kya batate hai
Ye boore sapne tujhe aaj tak kyun satate hai
Kiska gam khata hai ye bata ye chasme kaale
Kiski yaadon ke aansu chhupate hai
Hum kon kyon hai, aur kya hai, ye bata aur
Teri zindagi mein kahan par aate hai
Mujhe chahta nahi koi, lekin badshah ko saare chahte hai
Ye baatein karne ka faayda na koi
Meri zindagi ka kaayda na koi
Mainu chahidi ae tu, te tu, te tu
Par mainu chahida na koi
Tu kisse baat kar rahi hai, mujhko pata nahi
Tere aage bas mera jism hai
Pyaar pyar karta hai, aur jab pyaar mile bhaagta hai
Aadmi ki kaisi kism hai
Ye baatein khair na hi karo humse
Hum bekaar ho chuke hai
Hum to ab khud ke bas mein hi nahi
Hum bas ke baahr ho chuke hai