Ghar Pe Jaa Lyrics – Nazz

Spread the love

Ghar pe jaa Lyrics The Latest MTV Hustle 2.0 song sung by Nazz, and has music by Nazz while Nazz has written the Ghar pe jaa Lyrics..

Ghar Pe Jaa Lyrics – Nazz Lyrics

Singer Nazz
Tv Show MTV Hustle 2.O
Music Nazz
Song Writer Nazz





Kisi ka haath apne sar pe na
Chalte apan full rubaab mein kya
Pateli saamne nahi karne ka
Mujhse bhidne aaya shaane chal ghar pe ja

Kisi ka haath apne sar pe na
Chalte apan full rubaab mein kya
Pateli saamne nahi karne ka
Mujhse bhidne aaya shaane chal ae ghar pe ja

Kaafi mujh mein shamta par paas mere janta kam
Paap dhulte booth mein jaise doobne jaata ganga par
Aaya scene mein toh hua inka dhandha band
Rapperon ki udi neend jaise kardiya main pankha band

Down to earth aur yeh mere liye blessing
Mujh mein hawa hone ke liye main koi lace nahi
Waise toh hain yeh ghodon ki race lekin
Yahan gadhe hain ghodon ke upar
Jaise yeh majnu bhai ki painting

Par chaahe joh bhi ho jeetne wala main hi hoon
Laga lo mujhpe shart jaise
Main koi shop ke bahar ka mannequin
Farak padta nahi joh bhi kehna keh lo tum
Tum kehte main tumhare wajah se chal raha hoon
Iska matlab mere paer ho tum

Karte nahi kuch yeh bas haste rehte yeh mujhpe
Sirf dikhaate rehte daant lagta ad kar rahe toothpaste ki
Niklegi shoe lace sirf tabhi hee jaunga jhuk mein
Aur scene mein utna main zaroori
Jitna horror film mein footsteps

Kisi ka haath apne sar pe na
Chalte apan full rubaab mein kya
Pateli saamne nahi karne ka
Mujhse bhidne aaya shaane chal ghar pe ja

Kisi ka haath apne sir pe na
Chalte apan full rubaab mein kya
Pateli saamne nahi karne ka
Mujhse bhidne aaya shaane chal ae ghar pe ja

Bole mujhe underrated yahi gadbad kar dete
Sab sar par chad baithe joh andd mand shand kehte
Main original hiphop aur yeh sab jann converted
Khade kare hum ganon se raungte jaise jana gana mana kehte

Karke gathbandhan bajte phir yeh ghar bartan jaise
Yeh paani jaisa mera flow iss verse ko jal arpan kehde
Niko waale bars track pe murder kar dete
Toh beat baji toh naach varna andd mandd kar denge

Jaise sumbum wala vibe bass bhan-bhan bhar denge
Yeh bann-thhan jaaye kitne bhi pr thand bann ke hi rahenge
Paet ka pata nahi par hum mann bharte rahenge
Antariksh kyun na jaaye par hum sampark mein hi rahenge

Hum samundar mein andar tum bunder pe rehte
Gaane mere adrak aur ye bandar hi reh gaye
Ambar se bomb barsayenge ek din par
Filhaal hum underground jaise bunker mein rehte

Kisi ka haath apne sar pe na
Chalte apan full rubaab mein kya
Pateli saamne nahi karne ka
Mujhse bhidne aaya shaane chal ae ghar pe ja

Kisi ka haath apne sar pe na
Chalte apan full rubaab mein kya
Pateli saamne nahi karne ka
Mujhse bhidne aaya shaane chal ae ghar pe ja
Chal







How useful was this post?

Click on a star to rate it!


Spread the love