Insaan – MC STAN Lyrics

Spread the love

Insaan Lyrics from album INSAAN: The song is sung by MC Stan, and has music by MC Stan while MC Stan has written the Insaan lyrics for INSAAN. The “Insaan” song is from the “INSAAN”.

Insaan – MC STAN Lyrics

Singer MC STAN
Music MC STAN
Song Writer MC STAN

Tera nai malum lekin mein,
Mein insaan

Kuch log toh bhool gaye apun shaitaan
Nai hai insaan
Sab insaan khush the uss waqt pe, jab nai tha paisa
Main bhi ek insaan hai, woh bhi same tere jaisa

Kisko nai malum insaan, kaise aaya iss dharti pe
Tu aaya iss duniya mein, par jayega kiski marzi se
Khuda ne bhi socha hoga, kisko banaya galti se
Phele ke log kyun, door rehne ke ladki se

Pehli bar jab sunna, maine wayne
Mere pas nai paise the bro, woh time pe
Baj rela mein kuch toh deep, tu fuckin dhyaan de
Kitna log ka ghar chal rela, mere naam pe

Nai aayega pyaar tere saath mein, nai aayegi dosti
Meku 2 gaz zameen chahiye, daffan hone ke liye broski

Tu bolta jhoot, lekin mein nai bolta
Main karta sajda, tu karta gunnah



Insaan ko kuch dikhra nai, sirf dikhre paise
Yeh paiso ke wajah se, ho gaye humlog kaise
Ek insaan ek insaan ko marra, aur sablog dekhre
Upar wale ne zaaban diya, isliye kuch bhi bolre

Insaan ko sirf paise chahaye, aur shayad se fame
Main samjhra tha insaan ko, par janwar ne samjha mera pain
Khuda se bada banna chahta hai bro, kyun tu
Main act aisa karta jaisa, main abhi theek hu

Tum poori zindagi bhar dhoondege, yahan pe kon hai real
Tu bhi ek insaan, mein bhi hai insaan
Isleye hota feel

Apun sab hai ek energy, jisko bolte apun rooh aur dil
Conscious aur sub conscious mind ke saath mein, karta deal

Rota nai mein, rota dil
Nai hora meko, kuch bhi feel
Din nikalra mein, kha ke pill
Yeah!! Yeah!

Dukha mat tu, kiska dil
Mein god ko, leke aata fir
Meko mil ya, maut ko mil
Yeah! Yeah!

Main likh rela kuch toh deep , isleye sab mere fan hai
Mera nai karra kuch, yeh sab god ka plan hai
Main bharosa karne ka, kyuki tu bhi ek insaan hai
Main bechna soul chahata khuda ko, main tentacion hai

Insaan ko kuch dikhra nai, sirf dikhre paise
Yeh paiso ke wajah se, ho gaye humlog kaise
Ek insaan ek insaan ko marra, aur sablog dekhre
Upar wale ne zaaban diya, isliye kuch bhi bolre

Insaan ko sirf paise chahaye, aur shayad se fame
Main samjhra tha insaan ko, par janwar ne samjha mera pain
Khuda se bada banna chahta hai bro, kyun tu
Main act aisa karta jaisa, main abhi theek hu



Found Any Mistake in Lyrics?, Please Report In Contact Section with Correct Lyrics.

How useful was this post?

Click on a star to rate it!


Spread the love