Ye Duniya – Adnan Dhool Xulfi Talha Anjum Sherry Khattak Lyrics

Spread the love

Ye Dunya Lyrics The song is sung by Adnan Dhool, Xulfi, Talha Anjum, and Sherry Khattak, and has music by Xulfi and Sherry Khattak while Adnan Dhool, Talha Anjum, Faris Shafi, and Xulfi have written the Ye Dunya Lyrics. The music video of the Ye Dunya song is directed by Zeeshan Parwez.

Ye Duniya – Adnan Dhool Xulfi Talha Anjum Sherry Khattak Lyrics

Singer Adnan Dhool Xulfi Talha Anjum Sherry Khattak
Music Xulfi Sherry Khattak
Song Writer Adnan Dhool Xulfi Talha Anjum Sherry Khattak

Chehre badalte jayenge
Chalti jayegi, chalti jayegi
Ye dunya rukti hai kahaan
Kisi ke bhi liye

Chehre badalte rahe
Zindagi waise hi chalti rahi
Duniya badalti hai fitrat hai
Isme humari koi galti nahi
Palti rahi dil mein udaasi
Andheron se leke raushani tak
Khamiyon se khamoshiyon tak
Hosh se leke madhoshiyon tak

Afsos nahi ke afsaane likhe
Woh afsaane mabni afsurdagi par
Khuda tu deta hai behisab
Mere dard mein thodi to kaami kar

Khile naa kyun yahan ab woh gulab
Joh rahi bahar ki kaami bas
Qismat humare hi hath mein hai
Uspe ikhtiyar ki hai kami bas

Woh log bhi guzar gaye
Woh ghar bhi jal chuke
Wahan kuch nahi wahan se ab gard uthe

Zakhm toh bharenge dost
Waqt ki marham mein sifaa hai
Par waqt be-reham hai dost
Woh kab kisi ke liye ruka hai


Jukhe na saar phele na hath hamare
Bas yahin dua hai kabhi kabhi aaye soch
Jo hua hai thik hi hua hai
Sabr se sabak jo mile hai
Sabr se ab meri sulaah hai

Ke koyi nahi hai agar tera
Toh meri jaan khuda hai

Chehre badalte jayenge
Chalti jayegi, chalti jayegi
Ye dunya rukti hai kahaan
Kisi ke bhi liye, kisi ke bhi liye

1 minute ruki mera wait kar
Ok then shafi bhai take one
Kaha-sunn mu’aaf kijiyega
Shalimar garden mein saade paanch baaje
Mera shoot ke liye hair and make-up
Jaldi mere shades laa
Lekin pehle check the parameter

Gaano ke badhte decibels
Cheque pe badhte decimel
It’s incredible!
Jaise ismat chughtai
Kaise qismat khul aayi
I think about this at night

Jeewan baarishan de weather da
Marshall mathers
Mera instinct animalistic
Mad magician ya mathematician
I never take second position

I’m getting ballistic, cataclysmic
Bilkul asli, likhun meticulously
Lafz mere medicinal se
Love kiya maine qalam se
Sach bola maine kasam se
Rang dekho kaise badalte dikhte hai sab ke
Karte qabze baatein pakki vaade kacche
I’ve had enough of it, but I keep on going

Got no option, but to keep flowing
Keep the toxic outta’ my zone
Rakhe tashreef apni off of my throne
But before I got to go, let me tell you this
One thing I need you to know
If you ever need a friend, you can call my phone
‘cuz you’re not alone
You’re not alone, you’re not alone

Shehron mein ghoomun
Main dhoondun kya?
Sheharon mein ghoomoon bewajah
Sab kuch main keh doon
Dil mein hai kya?
Sab kuch main keh doon bewajah

Sab kuch main keh doon

Chehre badalte rahe
Hum isi sehar mein chalte rahe
Sab kuch main keh doon
Ghar tha veeran mera
Aur hum akele hi jalte rahe

Dhale shaam aur din chadhe
Chalo roshni ke simt chale
Apni zaat pe yaqeen mera
Azaa’im hi mujhe azeem kare


Hakeem hai qalam aleel ke liye
Kehne ko tere rafeeq to hai
Par phir bhi peeth peeche kyun
Yeh hareef bane ajeeb yeh

Chehre badalte jayenge
Chalti jayegi, chalti jayegi
Ye dunya rukti hai kahaan
Kisi ke bhi liye, kisi ke bhi liye

Ke koi nahi agar tera
Toh meri jaan khuda hai
‘cuz you’re not alone
Ke koyi nahi agar tera
Toh meri jaan khuda hai
You’re not alone

Dunyia..

You’re not alone
Ke koi nahi agar tera
Toh meri jaan khuda hai





A Little Request, Do You Like This Post Songs Lyrics . So Please Share It. Because It Will Only Take You A Minute Or So To Share.But it Will Provide Enthusiasm and Courage for Us. With The Help Of Which We Will Continue To Bring You Lyrics Of All New Songs In The Same Way.

Found Any Mistake in Lyrics?, Please Report In Contact Section with Correct Lyrics.

How useful was this post?

Click on a star to rate it!


Spread the love