Woh Lyrics – Dino James, Ikka,Badshah

Spread the love

Woh Lyrics The Latest Hindi song sung by Ikka, Dino James, and Badshah, and has music by Aakash while Ikka, Dino James, and Badshah have written the Woh Lyrics

Woh Lyrics – Dino James, Ikka,Badshah Lyrics

Singer Dino James, Ikka,Badshah
Music Aakash
Song Writer Dino James Ikka Badshah




Hum to doobe hain unki tasveeron mein
Mile sakoon nahi unke bin neendon mein
Kya yaad mujhe bhi karti hogi woh
Kya yaad mujhe bhi karti hogi woh

Ab uska pata nahi dil mein jo rehta tha
Uski baaton ke afsaane likhne baitha
Kya yaad mujhe bhi karti hogi woh
Kya yaad mujhe bhi karti hogi woh

Hum to doobe hain unki tasveeron mein
Mile sakoon nahi unke bin neendon mein
Kya yaad mujhe bhi karti hogi woh
Kya yaad mujhe bhi karti hogi woh

Ab uska pata nahi dil mein jo rehta tha
Uski baaton ke afsaane likhne baitha
Kya yaad mujhe bhi karti hogi woh
Kya yaad mujhe bhi karti hogi woh

Haan maine kari yeh khata liya mera side
Galti chhupake saare black ko kiya white
Mere bina she’s dying failaun main afwayein
Kaafi sara kehna par pata nahi tu kahan hain

Jaise miss main karun baby you miss me kya
Mere birthday mein beta tune wish nahi kiya
Dino strong hai bata ye tujhe kisne kaha
Khair ab to jhelna padega pain ye hisse ka

Kya purane apne chats ko tu karti hogi read
Kya tu type karke messages karti hogi delete
Kya tu bhi puchhna chahti hai ki kaisa hai tu d
Kya tu bhi try kar rahi hai are you trying to reach

Tere khayal mein nahi hoon par tu khyal rakhna
D saath mein nahi thoda malaal rakhna
Jo bhi tha mere paas woh hua hai just lost
Wapis pyaar karne ki karun majaal ab naa

Hum to doobe hain unki tasveeron mein
Mile sakoon nahi unke bin neendon mein
Kya yaad mujhe bhi karti hogi woh
Kya yaad mujhe bhi karti hogi woh

Khayaal tera dil se mitaya nahi abhi
Tu gayi fir dil yeh lagaya nahi kabhi
Bewafa maine tujhko bulaya nahi abhi
Pyaar kiya bas tujhe ginwaya nahi kabhi

Bass ginni barsaat aur tere diye gum
Dil maane nahi baat ke ab saath nahi hum
Bhole baba thoda karo in kashton ko kam
Mere saath kaali raat aur ek poori bottle rum

Poori raat nahi sober daaru badi pee hai
Yeh jo mohabbat khayalon mein hi jee hai
Hum to mare jaa rahe hain milne ko
Kya tune bhi milne ki koshish kabhi ki hai

Meri yaad mein tu royi roti khayi tune nahi hai
Doston ko bola mere baare bola nahi hai
Chhod ke tu gayi par banda khada wahin hai
Galat bas hum woh to ladki hai to sahi hai

Hum to doobe hain unki tasveeron mein
Mile sakoon nahi unke bin neendon mein
Kya yaad mujhe bhi karti hogi woh
Kya yaad mujhe bhi karti hogi woh

Yeah,
Jo dikhe naa woh dard nahi kya
Mahaul yeh sard nahi kya
Aansu naa dikhe aankhein hain kiski
Jo rota hai woh mard nahi kya

Yeh bata mujhe ke kaun nahi rota
Main hamare kamre mein nahi sota
Lightein band tv on nahi hota
Main hoon old school
Mujhse move on nahi hota

Kya jaane woh kaha gayi
Pehle bhi lade hain yeh pehli dafa nahi
Par kabhi aisi huyi woh khafa nahi
Galti hai meri woh bewafa nahi

Maine aisa kyon kiya
Pichhle mahine cancle har show kiya
Kal flight mein yun hi baithe baithe ro diya
Tere jaane pe pata chala maine kya kho diya

Hum to doobe hain unki tasveeron mein
Mile sakoon nahi unke bin neendon mein
Kya yaad mujhe bhi karti hogi woh
Kya yaad mujhe bhi karti hogi woh

Ab uska pata nahi dil mein jo rehta tha
Uski baaton ke afsaane likhne baitha
Kya yaad mujhe bhi karti hogi woh
Kya yaad mujhe bhi karti hogi woh

Rahun main jaise
Dooba dooba dooba sa
Soona soona soona sa
Bhoola bhoola bhoola sa
Tere bin,

Rahun main jaise
Dooba dooba dooba sa
Soona soona soona sa
Bhoola bhoola bhoola sa
Tere bin,

Lagun main jaise
Dooba dooba dooba sa
Soona soona soona sa
Bhoola bhoola bhoola sa
Tere bin,

Rahun main jaise
Dooba dooba dooba sa
Soona soona soona sa
Bhoola bhoola bhoola sa
Tere bin






How useful was this post?

Click on a star to rate it!


Spread the love